Meer Mohammadi Bedar

bahaar-e-gulshan-e-ayyam hun main

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
bahār-e-gulshan-e-ayyām huuñ maiñ
sahar nuur o savād-e-shām huuñ maiñ
shitāb aa ai mah-e-īsā-nafas tū
ki ḳhurshīd-e-kanār-e-bām huuñ maiñ
agar manzūr hai aanā to jald aa
ki tujh bin saḳht be-ārām huuñ maiñ
bajā.e mai tirī duurī meñ ai gul
ba-rañg-e-lāla ḳhūñ-āshām huuñ maiñ
muhibb-o-muḳhlis o fidvī huuñ terā
samajh tū lā.eq-e-dushnām huuñ maiñ
tujhe dekh aap meñ rahtā nahīñ maiñ
ġharaz tujh vasl se nākām huuñ maiñ
bahār aa.ī chaman meñ go mujhe kyā
giraftār o asīr-e-dām huuñ maiñ
nishāñ apnā kahīñ paayā nahīñ yaañ
faqat anqā-sifat yak naam huuñ maiñ
na paiġhām o salām o ne mulāqāt
abas tujh ishq meñ bad-nām huuñ maiñ
na huuñ parvāna-e-har-sham.a 'bedār'
fidā-e-sarv-e-gul-andām huuñ maiñ
Top Urdushayar.com