Meer Mohammadi Bedar

husn-e-sarshaar tera daru-e-be-hoshi hai

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
husn-e-sarshār tirā dārū-e-be-hoshī hai
hosh meñ kaun hai kis ko sar-e-mai-noshī hai
kuchh agar be-adabī hove to ma.azūr rakho
sohbat-e-mai-kashī-o-ālam-e-be-hoshī hai
joñ hilāl aap se yaksar maiñ huā huuñ ḳhālī
tujh se ai mehr-laqā shauq-e-ham-āġhoshī hai
bāñg-e-gul bā.is-e-gardan-shiknī hai gul kī
ġhuncha sālim hai ki jab tak use ḳhāmoshī hai
sar chaḌhā jaa.e hai ai zulf kasū kī to magar
us parī-rū se tujhe aaj jo sargoshī hai
aap ho jaa.e hai us teġh nigah ke aage
garche ā.īne ke jauhar se zarā poshī hai
umr ġhaflat hī meñ 'bedār' chalī jaanī hai
yaad hai jis kī ġharaz us se farāmoshī hai
Top Urdushayar.com