kahāñ ham rahe phir kahāñ dil rahegā
isī tarah gar tū muqābil rahegā
khulī jab girah band-e-hastī kī tujh se
to uqda koī phir na mushkil rahegā
dil-e-ḳhalq meñ tuḳhm ehsāñ ke bo le
yahī kisht-e-duniyā kā hāsil rahegā
hijāb-e-ḳhudī uTh gayā jab ki dil se
to parda koī phir na haa.el rahegā
na pahuñchegā maqsad ko kam-himmatī se
jo sālik talabgār-e-manzil rahegā
na hogā tū āgāh irfān-e-haq se
gar apnī haqīqat se ġhāfil rahegā
ḳhafā mat ho 'bedār' andesha kyā hai
milā gar na vo aaj kal mil rahegā