ye bhī koī vaz.a aane kī hai jo aate ho tum
ek dam aa.e nahīñ guzrā ki phir jaate ho tum
duur se yuuñ to koī jhamkī dikhā jaate ho tum
par jo chāhūñ ye ki paas aao kahāñ aate ho tum
kahiye mujh se to bhalā itnā ki kuchh maiñ bhī sunūñ
banda-parvar kis ke haañ tashrīf farmāte ho tum
us parī-sūrat balā-añgez ko dekhā nahīñ
nāseho ma.azūr ho gar mujh ko samjhāte ho tum
dekhiye ḳhirman pe ye barq-e-balā kis ke paḌe
be-tarah kuchh tevarī badle chale aate ho tum
jo koī banda ho apnā is se phir kyā hai hijāb
maiñ to is laa.eq nahīñ jo mujh se sharmāte ho tum
aaj ye go aur ye maidāñ unheñ kah dījiye
dekh luuñ jin ke bharose mujh ko dhamkāte ho tum
phir na āveñge kabhī aisī hī gar āzurda ho
bas chale ham ḳhush raho kaahe ko jhuñjlāte ho tum
hālat-e-'bedār' ab kyā kījiye aap aage bayāñ
vaqt hai ab bhī agar tashrīf farmāte ho tum