Meer Mohammadi Bedar

hum pe sau zulm-o-sitam kijiyega

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
ham pe sau zulm-o-sitam kījiyegā
ek milne ko na kam kījiyegā
bhāgte ḳhalq se kuchh kaam nahīñ
qasd hai aap se ram kījiyegā
gar yahī zulf o yahī mukhḌā hai
ġhārat-e-dair-o-haram kījiyegā
gar rahī yūñhī gul-fishānī-e-ashk
jā-ba-jā rashk-e-iram kījiyegā
jī meñ hai aaj bajā.e maktūb
yahī bait us ko raqam kījiyegā
mehrbānī se phir ai banda-navāz
kahiye kis roz karam kījiyegā
niiñd āvegī na tanhā 'bedār'
tā na ḳhvāb us se baham kījiyegā
Top Urdushayar.com