ġham-e-jigar-shikan o dard jāñ-sitāñ dekhā
tumhāre ishq meñ kyā kyā na mehrbāñ dekhā
har ek majlis-e-ḳhūbāñ meñ dil-sitāñ dekhā
na koī tujh sā par ai āfat-e-jahāñ dekhā
maiñ vo asiir huuñ jin ne ki dāġh-e-yās sivā
na sair-e-lāla-sitāñ kī na gulsitāñ dekhā
jis aañkh meñ na samātī thī buuñd aañsū kī
ab us ne ġham meñ tire sail-e-ḳhūñ ravāñ dekhā
na kohkan ne vo dekhā kabhī na majnūñ ne
tumhāre ishq meñ jo ham ne ai butāñ dekhā
hazār garche haiñ bīmār terī āñkhoñ ke
par un meñ koī bhalā mujh sā nā-tavāñ dekhā
maiñ vo marīz huuñ pyāre ki jin ne muddat se
sivā-e-dard na ārām yak-zamāñ dekhā
kiyā savāl maiñ 'bedār' se ki ai mahjūr
kabhī bhī tū ne bhalā vasl-e-dil-sitāñ dekhā
mufāriqat hī meñ kyā umr khoī merī tarah
ki ishq meñ dil-e-ġham-ghīñ na shādmāñ dekhā
ye sun ke rone lagā aur ba.ad rone ke
kahā na pūchho jo kuchh maiñ ne ai miyāñ dekhā
firāq-e-yār jafā-e-shamānat-e-a.adā
ġham-e-dil o sitam-e-pand-e-nāsehāñ dekhā
na paa.ī zarra bhī us ashk-e-garm kī tāsīr
na ek dam asar-e-nāla-o-fuġhāñ dekhā
jahāñ meñ vasl hai suntā huuñ muddatoñ se va-lek
sivā-e-nām na us kā kahīñ nishāñ dekhā