Meer Mohammadi Bedar

tere mizhgan hi na pahlu marte hain tere

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
tere mizhgāñ hī na pahlū mārte haiñ tere
ham-sarī rakhte haiñ abrū bhī dam-e-shamshīr se
dekh ye kartā hai ġham kī lazzateñ ham par harām
ho samajh kar āshnā ai naala Tuk tāsīr se
huuñ maiñ vo dīvāna-e-nāzuk-mizāj-e-gul-ruḳhāñ
kījiye zanjīr jis ko sāya-e-zanjīr se
soz-e-dil kyūñkar karūñ us shoḳh ke aage bayāñ
sham.a kī mānind jaltī hai zabāñ taqrīr se
garche hoñ 'bedār' ġharq-e-ma.asiyat sar-tā-ba-pā
pur-umīd-e-maġhfirat hai shabbar-o-shabbīr se
Top Urdushayar.com