Meer Mohammadi Bedar

nahin aaram ek ja dil ko

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
nahīñ ārām ek jā dil ko
aah kyā jaane kyā huā dil ko
ai butāñ mohtaram rakho is ko
kahte haiñ ḳhāna-e-ḳhudā dil ko
le to jaate ho mehrbāñ lekin
kiijo mat aap se judā dil ko
muñh na pherā kabhī jafā se tirī
āfrīñ dil ko marhabā dil ko
ye tavaqqo.a na thī hameñ hargiz
ki dikhāoge ye jafā dil ko
haiñ yahī Dhañg aap ke to ḳhair
kyuuñ na phir dījiyegā aa dil ko
āḳhir us tifl-e-shoḳh ne dekhā
TukḌe juuñ shīsha kar diyā dal ko
aaj lagtī hai kuchh baġhal ḳhālī
kaun siine se le gayā dil ko
ham to kahte haiñ tujh ko ai 'bedār'
kiijo mat us se āshnā dil ko
Top Urdushayar.com