Meer Mohammadi Bedar

tujh bin sarishk-e-KHun ka hai aankhon se tughiyan is qadar

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
tujh bin sarishk-e-ḳhūñ kā hai āñkhoñ se tuġhiyāñ is qadar
barsā nahīñ ab tak kahīñ abr-e-bahārāñ is qadar
gulshan meñ gar dekheñ mujhe huiiñ sumbul o nargis ḳhajil
dil hai pareshāñ is qadar āñkheñ haiñ hairāñ is qadar
rakhtā hai tū jis jā qadam hotā hai lohū kā nishāñ
pāmāl kartā hai koī ḳhūn-e-shahīdāñ is qadar
DhūñDhe jo tū dāman talak paave na sābit tū use
maiñ chaak phirtā huuñ kiye nāseh garebāñ is qadar
'bedār' ko dikhlā ke tū ne qatl auroñ ko kiyā
kartā hai ai zālim koī zulm-e-numāyāñ is qadar
Top Urdushayar.com