Meer Mohammadi Bedar

maqdur kya mujhe ki kahun wan ki yan rahe

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
maqdūr kyā mujhe ki kahūñ vaañ ki yaañ rahe
haiñ chashm-o-dil ghar us ke jahāñ chāhe vaañ rahe
misl-e-nigāh ghar se na bāhar rakhā qadam
phir aa.e har taraf ye jahāñ ke tahāñ rahe
ne but-kada se kaam na matlab haram se thā
mahv-e-ḳhayāl-e-yār rahe ham jahāñ rahe
jis ke ki ho naqāb se bāhar shuā-e-husn
vo rū-e-āftāb ḳhajil kab nihāñ rahe
aa.e to ho pa dil ko tasallī ho tab mire
itnā kaho ki aaj na jāveñge haañ rahe
hastī hī meñ hai sair-e-adam us ko yaañ jise
fikr-e-miyān-e-yār o ḳhayāl-e-dahāñ rahe
ġhībat hī meñ hai us kī hamārā zuhūr yaañ
vo jalva-gar jab aage huā ham kahāñ rahe
'bedār' zulf khīñche idhar chashm-e-yār udhar
hairāñ hai dil kahāñ na rahe kis ke haañ rahe
Top Urdushayar.com