gar baḌe mard ho to ġhair ko yaañ jā diije
us ko kah dekhiye kuchh yā mujhe uThvā diije
kaun aisā hai jo chheḌe hai tumheñ raah ke biich
maiñ samajh lūñgā Tuk us ko mujhe batlā diije
dil o jaan o ḳhirad o diiñ pahle hī din de baiThe
aaj hairāñ huuñ ki aatā hai use kyā diije
kyā huā haal bhalā dekh to mujh be-dil kā
na kabhī dilbarī kiije na dilāsa diije
da.avā-e-rustamī karte to haiñ par ik dam meñ
chhīn luuñ teġh-o-sipar un kī jo farmā diije
gum huā hai abhī yaañ gauhar-e-dil ai ḳhūbāñ
haath lag jaave tumhāre to mujhe pā diije
bevafā dushman-e-mehr āfat-e-jāñ sañgīñ-dil
haif 'bedār' ki aise ko dil apnā diije