jo huī so huī jaane do milo bismillāh
jām-e-mai haath se lo mere piyo bismillāh
muntazir aap ke aane kā ka.ī din se huuñ
kyā hai tāḳhīr qadam-ranja karo bismillāh
le chuke dil to phir ab kyā hai sabab ranjish kā
jī bhī hāzir hai jo lete ho to lo bismillāh
maiñ to huuñ kushta-e-abrū-e-but-e-mus.haf-e-rū
mū-qalam se mire turbat pe likho bismillāh
zabah karnā hī mujhe tum ko hai manzūr agar
maiñ bhī hāzir huuñ mirī jaan uTho bismillāh
hote āzurda ho aane se hamāre jo tum
ḳhush raho mat ho ḳhafā ham chale lo bismillāh
ain rāhat hai mujhe banda-navāzā is meñ
qadam āñkhoñ pe mirī aa ke rakho bismillāh
jin kī rahte ho shab-o-roz tum ab sohbat meñ
jaao ai jaan ab un ke hī raho bismillāh
mast niklā hai mai-e-husn meñ 'bedār' vo shoḳh
dekhnā gar na paḌe kahte chalo bismillāh