Meer Mohammadi Bedar

pawe kis tarah koi kis ko hai maqdur hamein

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
paave kis tarah koī kis ko hai maqdūr hameñ
le gayā ishq tirā khīñch bahut duur hameñ
sub.h kī raat to ro ro ke ab aa ai be-mehr
roz-e-raushan ko dikhā mat shab-e-dījūr hameñ
rabt ko chāhiye yak naua kī jinsiyyat yaañ
chashm-e-bīmār use hai dil-e-ranjūr hameñ
baat gar kiije to hai banda-navāzī varna
dekhnā hī hai faqat aap kā manzūr hameñ
ulfat us shoḳh kī chhūTe hai koī jīte-jī
rakkho is pand se ai nāseho ma.azūr hameñ
pī hai mai raat ko yā jaage ho tum kuchh to hai
āñkheñ aatī haiñ nazar aaj to maḳhmūr hameñ
yaañ se 'bedār' gayā vo mah-e-tābāñ shāyad
nazar aatā hai ye ghar aaj to be-nūr hameñ
Top Urdushayar.com