Meer Mohammadi Bedar

maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
maktab meñ tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai
har tifl ke yaañ ashk se ālūda varaq hai
huuñ muntazir us mahr ke aane hī kā varna
shabnam kī tarah āñkhoñ meñ dam koī ramaq hai
dekh ai chaman-e-husn tujhe baaġh meñ ḳhandāñ
shabnam nahīñ ye gul pe ḳhajālat se araq hai
vo chāñd sā muñh surḳh dupaTTa meñ hai raḳhshāñ
yā mahr kahūñ jalva-numā zer-e-shafaq hai
nargis kī zar-o-gul pe bhī vā chashm-e-tama hai
is par ki zar-o-sīm kā us paas tabaq hai
dil us but-e-be-mehr ko de muft hī khoyā
kahte haiñ jo kuchh yaar mujhe vāqa.ī haq hai
juz tere nahīñ ġhair ko rah dil ke nagar meñ
jab se ki tire ishq kā yaañ nazm-o-nasaq hai
mazkūr huā yaañ magar us gul ke dahan kā
jo rashk se har ġhuncha kā dil baaġh meñ shaq hai
kar masqala-e-zikr se dil saaf tū apnā
'bedār' ye ā.īna tajallī-gah-e-haq hai
Top Urdushayar.com