nashshe meñ jī chāhtā hai bosa-bāzī kījiye
itnī ruḳhsat dījiye banda-navāzī kījiye
chāhiye jo kuchh so ho pahle hī sajde meñ husūl
aap ko gar ka.aba-e-dil kā namāzī kījiye
jis ne ik jalva ko dekhā jī diyā parvāna-vār
is qadar ai sham.a-rūyāñ husn-sāzī kījiye
nardbāñ kahte haiñ hai bām-e-haqīqat kā majāz
chand roz is vāste ishq-e-majāzī kījiye
ḳhvāhish-e-raushan-dilī gar hove shab se tā-sahar
sham.a-sāñ 'bedār' ro ro jāñ-gudāzī kījiye