kuchh na īdhar hai ne udhar tū hai
jis taraf kījiye nazar tū hai
iḳhtilāf-e-suvar haiñ zāhir meñ
varna ma.anī-e-yak-digar tū hai
hai jo kuchh tū so tū hī jaane hai
koī kyā jaane kis qadar tū hai
kyā mah-o-mahr kyā gul-o-lāla
jab maiñ dekhā to jalva-gar tū hai
kis se tashbīh dījiye tujh ko
saare ḳhūbāñ se ḳhūb-tar tū hai
vo to 'bedār' hai ayaañ lekin
us ke jalva se be-ḳhabar tū hai