tanhā na dil hī lashkar-e-ġham dekh Tal gayā
is ma.arke meñ pā-e-tahammul bhī chal gayā
haiñ garm-e-guftugū gul o bulbul chaman ke biich
hogā ḳhalal sabā jo koī paat mil gayā
us sham.a-rū se qasd na milne kā thā hameñ
par dekhte hī mom-sifat dil pighal gayā
mun.im tū yaañ ḳhayāl-e-imārat meñ kho na umr
le kaun apne saath ye qasr-o-mahl gayā
laagī na ġhair-e-yās hinā-e-umīd haath
duniyā se jo gayā kaf-e-afsos mal gayā
us rāh-rau ne dam meñ kiyā tai rah-e-adam
hastī ke sañg se jo sharar sā uchhal gayā
dekhā har ek zarre meñ us āftāb ko
jis chashm se ki be-basarī kā ḳhalal gayā
guzrī shab-e-shabāb huā roz-e-sheb aḳhīr
kuchh bhī ḳhabar hai qāfila aage nikal gayā
qābil maqām ke nahīñ 'bedār' ye sarā.e
manzil hai duur ḳhvāb se uTh din to Dhal gayā