Meer Mohammadi Bedar

dil se puchha tu kahan hai to kaha tujhko kya

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
dil se pūchhā tū kahāñ hai to kahā tujh ko kyā
kis kī zulfoñ meñ nihāñ hai to kahā tujh ko kyā
chashm-e-giryāñ se shab-e-vasl meñ pūchhā maiñ ne
ab tū kyuuñ ashk-fishāñ hai to kahā tujh ko kyā
jab kahā maiñ ne ki niiñ bolte ho gaalī bin
jaan ye kaun zabāñ hai to kahā tujh ko kyā
kahne laagā dil-e-gum-gashta tirā hai mujh paas
jab kahā maiñ ne kahāñ hai to kahā tujh ko kyā
jab kahā maiñ ne ki ai jaan tirī sūrat par
shefta pīr-o-javāñ hai to kahā tujh ko kyā
jab kahā maiñ ne ki ai sarv-e-riyāz-e-ḳhūbī
kis kā tū āfat-e-jāñ hai to kahā tujh ko kyā
dil se 'bedār' ne pūchhā ki tire siine par
kis ke nāvak kā nishāñ hai to kahā tujh ko kyā
Top Urdushayar.com