Meer Mohammadi Bedar

dil salamat agar apna hai to dildar bahut

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
dil salāmat agar apnā hai to dildār bahut
hai ye vo jins ki jis ke haiñ ḳharīdār bahut
ek maiñ hī tire kūche meñ nahīñ huuñ betāb
sar paTakte haiñ ḳhabar le pas-e-dīvār bahut
dekhiye kis ke lage haath tirā gauhar-e-vasl
is tamannā meñ to phirte haiñ talabgār bahut
kahīñ nargis ko magar tū ne dikhā.īñ āñkheñ
nahīñ bachte nazar aate haiñ ye bīmār bahut
kyā karūñ kis se kahūñ haal kidhar ko jā.ūñ
tañg aayā huuñ tire haath se dildār bahut
apne āshiq se kiyā pūchho to kaise ye sulūk
aur bhī shahr meñ haiñ tujh se trahdār bahut
tire aate to koī phuul na hogā sarsabz
kyā huā baaġh meñ go phūle the gulzār bahut
ek din tujh ko dikhā.ūñgā maiñ in ḳhūbāñ ko
dāvā-e-yūsufī karte to haiñ iz.hār bahut
jurm-e-bosa pe jo 'bedār' ko maarā maarā
na karo jaane do is baat pe takrār bahut
Top Urdushayar.com