gar isī tarah saj banā.iyegā
mahshar ābād kar dikhā.iyegā
umr va.adoñ hī meñ gañvā.iyegā
ā.iyegā bhī yā na ā.iyegā
mehrbāñ qadar jāniye merī
mujh sā muḳhlis kahīñ na pā.iyegā
yahī qāmat hai gar yahī raftār
hashr barpā hī kar dikhā.iyegā
yahī ronā agar hai ai añkhiyoñ
ḳhān-e-mardumāñ Dubā.iyegā
māh-rūyāñ kahāñ talak ham ko
ātish-e-hijr meñ jalā.iyegā
zabt-e-girya na hovegā juuñ sham.a
soz-e-dil gar tumheñ sunā.iyegā
husn jaatā hai ḳhat kī aamad hai
haañ hameñ kyuuñ na ab manā.iyegā
muġhtanim jaano ham se muḳhlis ko
DhūñDiyegā to phir na pā.iyegā
ye na hogā ki yaañ se uTh jāveñ
aisī sau bāteñ gar sunā.iyegā
ek do kyā hazār se bhī ham
nahīñ Darte agar bulā.iyegā
aaj jo ho so ho yahī hai azm
tum ko har tarah le ke jā.iyegā
jis ne 'bedār' dil liyā merā
ek din tujh ko bhī dikhā.iyegā