Meer Mohammadi Bedar

shabnam to bagh mein hai na yun chashm-e-tar ki hum

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
shabnam to baaġh meñ hai na yuuñ chashm-e-tar ki ham
ġhuncha bhī is qadar hai na ḳhūnī jigar ki ham
juuñ āftāb us mah-e-be-mahr ke liye
aise phire na koī phirā dar-ba-dar ki ham
kahtā hai naala aah se dekheñ to kaun jald
us shoḳh sañg-dil meñ kare tū hai ghar ki ham
hai har dur-e-suḳhan pe sazā-vār gosh-e-yār
motī sadaf rakhe hai par aise guhar ki ham
muñh par se shab naqāb uThā yaar ne kahā
raushan-jamāl dekh tū ab hai qamar ki ham
zar kyā hai maal tujh pe kareñ naqd-e-jāñ nisār
itnā to aur kaun hai ai sīm-bar ki ham
tā-zīst ham butoñ ke rahe saath misl-e-zulf
yuuñ umr kis ne kī hai jahāñ meñ basar ki ham
ġhussa ho kis pe aa.e ho jo tevarī chaḌhā
laa.eq itaab ke nahīñ koī magar ki ham
'bedār' shart hai na palak se palak lage
dekheñ to raat jā ke hai yā tū sahar ki ham
Top Urdushayar.com