Meer Mohammadi Bedar

gaya hai jab se dikha jalwa wo pari-ruKHsar

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
gayā hai jab se dikhā jalva vo parī-ruḳhsār
na ḳhvāb dīda-e-giryāñ meñ hai na dil ko qarār
hazār rañg se phūle chaman meñ go gulzār
par us baġhair ḳhush aatī nahīñ mujhe ye bahār
ba-rañg-e-lāla-e-sar mai-kashī nahīñ tujh bin
ki ḳhūn-e-dil se maiñ har roz toḌtā huuñ ḳhumār
guloñ ke muñh pe na ye rañg-e-āb-o-tāb rahe
vo rashk-e-bāġh kare gar udhar ko aa ke guzār
ajab nahiñ ki bahā deve ḳhāna-e-mardum
rahe gar ashk-fishāñ yūñhī dīda-e-ḳhūñ-bār
rihā.ī kyūñki ho yā-rab maiñ is meñ hairāñ huuñ
ki ek dil hai mirā tis pe dard-o-ġham hai hazār
kahā maiñ us but-e-abrū-kamāñ kī ḳhidmat meñ
ḳhadañg-e-jabr ne tere kiyā hai mujh ko nigār
na rahm tere dil-e-saḳht meñ hai ġhair-az-zulm
na mere nāla-e-jāñ-soz meñ asar ai yaar
na taab hijr kī rakhtā huuñ ne umīd-e-visāl
ḳhudā hī jaane ki kyā hogā us kā āḳhir-kār
har ek din mujhe yuuñ sūjhtā hai jī tan se
nikal hī jā.egā ham-rāh-e-āh-e-ātish-bār
na tū mazār pe āvegā tā-dam-e-mahshar
rahegī dīda-e-giryāñ ko hasrat-e-dīdār
abas tū mujh ko Darātā hai apne marne se
hazār tujh se mire mar ga.e haiñ āshiq-e-zār
ye sun ke kahne lagā vo sitamgar-e-be-rahm
mirī balā se jo mar jā.egā tū ai 'bedār'
Top Urdushayar.com