Meer Mohammadi Bedar

aashiq na agar wafa karega

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
āshiq na agar vafā karegā
phir aur kaho to kyā karegā
mat toḌiyo dil sanam kisī kā
allāh tirā bhalā karegā
hai ālam-e-ḳhvāb hāl-e-duniyā
dekhegā jo chashm vā karegā
jiitā na bachegā koī zālim
aisī hī jo tū adā karegā
kal ke to ka.ī paḌe haiñ zaḳhmī
kyā jāniye aaj kyā karegā
aa jā.egā sāmne tū jis ke
dil kyā hai ki jī fidā karegā
kyā jāniye kyā karegā tūfāñ
gar ashk yūñhī bahā karegā
'bedār' ye bait-e-dard ro ro
furqat meñ tirī paḌhā karegā
''apnī āñkhoñ meñ tujh ko dekhūñ
aisā bhī kabhū ḳhudā karegā''
Top Urdushayar.com