aah milte hī phir judā.ī kī
vaah kyā ḳhuub āshnā.ī kī
na ga.ī terī sar-kashī zālim
ham ne har-chand jabba-sā.ī kī
dil nahīñ apne iḳhtiyār meñ aaj
kyā magar tū ne āshnā.ī kī
dar pe ai yaar tere aa pahuñche
tapish-e-dil ne rahnumā.ī kī
qābil-e-sajda tū hī hai ai but
sair kī ham ne sab ḳhudā.ī kī
jo muqayyad haiñ terī ulfat ke
aarzū kab unheñ rihā.ī kī
jī meñ 'bedār' khap ga.ī mere
ḳhandaq us panja-e-hinā.ī kī