na ġham-e-dil na fikr-e-jāñ hai yaad
ek terī hī bar zabāñ hai yaad
thā jo kuchh vāda-e-vafā ham se
kuchh bhī vo tum ko mehrbāñ hai yaad
agle milne kī tarah bhuul ga.e
kyā batā.ūñ tumheñ kahāñ hai yaad
huuñ maiñ pāband-e-ulfat-e-sayyād
kab mujhe bāġh-o-bostāñ hai yaad
mahv tere hī rū-o-zulf ke haiñ
na hameñ vo na ye jahāñ hai yaad
dīda-o-dil meñ tū hī bastā hai
tujh sivā kis kī aur yaañ hai yaad
aur kuchh aarzū nahīñ 'bedār'
ek us kī hī jāvedāñ hai yaad