tum ko kahte haiñ ki āshiq kī fuġhāñ sunte ho
ye to kahne hī kī bāteñ haiñ kahāñ sunte ho
chaah kā zikr tumhārī maiñ kiyā kis aage
kaun kahtā hai ''kaho'' kis kī zabāñ sunte ho
kashish-e-ishq hī laa.ī hai tumheñ yaañ varna
aap se thā na mujhe ye to gumāñ sunte ho
ek shab merā bhī afsāna-e-jāñ-soz suno
qisse auroñ ke to ai jān-e-jahāñ sunte ho
vo gul-andām jo aayā to ḳhajālat se tamām
zard ho jāoge ai lāla-ruḳhāñ sunte ho
ek ke laakh sunā.ūñgā ḳhabar-dār raho
is taraf aa.ī agar tab-e-ravāñ sunte ho
aaj kyā hai kaho kyuuñ aise ḳhafā baiThe ho
apnī kahte ho na merī hī miyāñ sunte ho
kaun hai kis se karūñ dard-e-dil apnā iz.hār
chāhtā huuñ ki suno tum to kahāñ sunte ho
ye vahī shoḳh hai aatā hai jo 'bedār' ke saath
jis ko ġhārat-gar-e-dil āfat-e-jāñ sunte ho