Mahmood Sarosh

na ho Thikana koi jis ka tere ghar ke siwa

Mahmood Sarosh

Mumbai, Maharashtra, India

1911-1992
na ho Thikāna koī jis kā tere ghar ke sivā
vo uTh ke jaa.e kahāñ terī rahguzar ke sivā
dil-e-hazīñ kī tamannā nigāh ke matlūb
ḳhudā rakhe vo sabhī kuchh haiñ chāragar ke sivā
razā-e-dost tab-o-tāb sīna-e-dushman
duā ko aur bhī kuchh chāhiye asar ke sivā
vo soz-e-dil ki jise log jaan kahte haiñ
nahīñ hai aur koī shai tirī nazar ke sivā
payām-e-ḳhanda-e-gul aur nashāt-e-sub.h-e-chaman
sabā ke paas hai sab kuchh tirī ḳhabar ke sivā
hai jān-e-bulbul-e-shaidā to chaar tinkoñ meñ
qafas meñ kuchh bhī nahīñ ek musht-e-par ke sivā
milā hai azmat-e-ādam ke naam se jo mujhe
vo qarz kis se adā hogā mere sar ke sivā
unhī ko nāla-e-bulbul kaheñ ki ḳhanda-e-gul
chaman meñ kuchh bhī nahīñ sho.ala-e-sharar ke sivā
sukūn-e-dil ke liye ham kahāñ kahāñ na ga.e
'sarosh' kuchh na milā zahmat-e-safar ke sivā
Top Urdushayar.com