khet se bach kar guzre bastī ko vīrānī de
vo dariyā kyā dariyā jo sāgar ko paanī de
sher sunā koī aisā jis se lage badan meñ aag
niiñd uḌ jaa.e jis se aisī koī kahānī de
suukh rahe haiñ bāġh-baġhīche nahreñ ret huiiñ
ai mausam ke mālik ik mausam bārānī de
ḳhud banvā.e mahal do-mahle ham ko sunā.e hadīs
ḳhud to pahne abā qabā ham ko uryānī de
toḌ ga.ī dam āḳhir pyāsī raat amāvas kī
pyāre sūraj ab to apne chāñd ko paanī de
kaun sunegā terā qissa rone-dhone kā
lailā majnūñ shāmil kar koī raajā raanī de
ab tak tum ne 'bāqar' aise kaun se kaam kiye
kis ummīd pe mālik tum ko na.ī javānī de