jaisā huzūr kaheñge bilkul vaisā hogā
ya.anī phir guḌiyoñ kā khel-tamāshā hogā
mahal to holī dīvālī ke liye bane haiñ
aag kā ramaq to lā-vāris kā ḳhema hogā
khārī paanī kī jhīleñ sab bach jā.eñgī
luqma siyāh samundar kā bas dariyā hogā
merī terī aañkh kī qismat kañkar miTTī
un kī aañkh kī zīnat ho to surma hogā
dozaḳh ke sab darvāze to khule hue haiñ
jannat ke darvāze par kyā taalā hogā
sāhil par jab sabz farishte hī rahte haiñ
dariyā meñ phir kis ne zahr milāyā hogā
merā salām us shahzāde ko pahuñchā jis ke
be-sar jism pe ik bosīda kurtā hogā