davā baġhair koī tifl mar gayā to kyā huā
bas ek phuul hī to thā bikhar gayā to kyā huā
kabhī kabhī to raushnī bhī ik azāb-e-jāñ huī
vo chāñdnī se terī kokh bhar gayā to kyā huā
na raat hī sañvar ga.ī na raushnī hī mar ga.ī
añdherī bā.ulī meñ chāñd utar gayā to kyā huā
kamāl jugnuoñ kā thā ki raushnī meñ kho ga.e
fareb apne saa.e hī se Dar gayā to kyā huā
mire liye to ḳhvāb ek chashma-e-hayāt thā
kisī ko ḳhvāb ḳhvāb thā bikhar gayā to kyā huā
guzarte mausamoñ ke qāfile to rauñdte rahe
ġharīb koī sahn se guzar gayā to kyā huā
na maiñ koī savār huuñ na koī māl-dār huuñ
udhar rahā to kyā huā idhar gayā to kyā huā