Baqar Naqvi

koi to tha dhanak dhanak KHwab mein ya KHayal mein

Baqar Naqvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1936-2019
koī to thā dhanak dhanak ḳhvāb meñ yā ḳhayāl meñ
rañg ajiib ghul ga.e kaifiyyat-e-malāl meñ
mohr thī mire nutq par tere laboñ kī naġhmagī
varna javāb the chhupe tere har ik savāl meñ
bol tū soch soch kar chal tū sambhal sambhal ke chal
kī hai bahut gulo kī baat ham ne tirī misāl meñ
sard dinoñ kī tarah gum ho ga.ī apnī zindagī
farq kahāñ rahā koī maah meñ aur saal meñ
mere rivāq-e-dil meñ tū chaltā thā kitne naaz se
aa ga.ī kaise ab lachak terī sabā sī chaal meñ
mere firāq meñ tirī umr Thahar ga.ī thī kyā
baal safed ho ga.e mere tire ḳhayāl meñ
mausam-e-āza ho kabhī merī taraf bhī ik nazar
utre koī nayā parind mere ġhamoñ ke taal meñ
apne kināra kar na ab 'bāqar'-e-ḳhush-misāl se
be-hunarī sharīk thī us kī tire kamāl meñ
Top Urdushayar.com