kabhī to yaad ke gul-dān meñ sajā.ūñ use
kabhī vo sāmne bhī ho to bhuul jā.ūñ use
khile jo haiñ mirī shāḳh-e-ḳhayāl par kuchh gul
usī kā khel hai ye kis tarah batā.ūñ use
vo ḳhushbuoñ kī tarah aa.e aur uḌ jaa.e
maiñ kaise pairahan-e-zehn meñ basā.ūñ use
patā to ho ki hai kyā karb-e-zaḳhm-e-nazzāra
na dekhnā jise chāhe vahī dikhā.ūñ use
vo harf-e-soḳhta sat.h-e-zabāñ tak aa.e to
maiñ apne lahja-e-raushan se jagmagā.ūñ use
usī ke rañg kā pahnā agar libās to kyā
usī kī tarz meñ ab sher bhī sunā.ūñ use
agar hai ishq to phir aisā ishq ho 'bāqar'
vo gungunā.e mujhe aur maiñ gungunā.ūñ use