Jameela Khuda Bakhsh

deta hun dil jise wo kahin bewafa na ho

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
detā huuñ dil jise vo kahīñ bevafā na ho
ye ishq mere vāste shāyad qazā na ho
duur apne dar se tum na karo ai sanam use
jis ko zarā jahāñ meñ kahīñ aasrā na ho
rāhat se mujh ko niiñd to aa.ī mazār meñ
pahlū ko mere chiir ke dil chal basā na ho
marne ke ba.ad bhī yahī dhaḌkā rahā kyā
mil kar sabā se ḳhaak hamārī havā na ho
shikva karūñ to yaar kā pur-ḳhauf hai yahī
nāzuk mizāj hai vo ye sun kar ḳhafā na ho
parde se dil ke baat jo kartā hai mujhe se ab
aatā hai ye ḳhayāl kahīñ ḳhud ḳhudā na ho
rañgat hai zard ruḳh kī to ḳhushkī laboñ par hai
āsār ishq ke haiñ kahīñ dil lagā na ho
mar jā.ūñ ai 'jamīla' agar ishq-e-ġhaus meñ
mumkin nahīñ ki ḳhāk-e-lahad kīmiyā na ho
Top Urdushayar.com