barahman le ke jo mere liye zunnār aayā
us ne samjhā ki yahī but kā ḳharīdār aayā
ḳhud ḳharīdār huā husn-e-butāñ kā vo kabhī
ho ke yūsuf vo kabhī bar-sar-e-bāzār aayā
shauq thāme thā kamar aur tamannā baazū
kū-e-jānāñ meñ mirā jab dil-e-bīmār aayā
lāla-ruḳh kaisā hai dekhūñ to zarā chal ke use
kis liye dil kī imārat meñ na vo yaar aayā
roz-e-raushan sī shab-e-tār huī āñkhoñ meñ
jis ghaḌī yaad tirā gesū-e-ḳhamdār aayā
hasrat-o-yās-o-tamannā ke mile pushtāre
kārvāñ ishq kā mujh tak ye liye baar aayā
kyā Darātā hai mujhe teġh dikhā kar qātil
maqtal-e-ishq meñ marne ko maiñ tayyār aayā
talḳhī-e-marg bhī dene lagī mujh ko lazzat
sar-e-bālīñ dam-e-murdan jo mirā yaar aayā
mere dilbar ke tasavvur ne kiyā is ko hasīñ
maiñ na samjhā ye qazā aa.ī ki vo yaar aayā
koī le jā ke mire dil ko ye kahtā us se
le tire gesu-e-pur-ḳham kā giraftār aayā
ai 'jamīla' na milā but na milā mujh ko ḳhudā
maiñ to us hasti-e-mauhūm meñ be-kār aayā