batā.eñ tum se kyā ham āshiq-e-bīmār kis ke haiñ
hamāre dīda-e-tar tālib-e-dīdār kis ke haiñ
na kyuuñ ham-shakl-e-bulbul mad.h meñ naġhma-sarā huuñ maiñ
tumhīñ mujh ko batā do phuul se ruḳhsār kis ke haiñ
koī be-ḳhud koī bā-ḳhud hue terī mohabbat meñ
jo haiñ ġhāfil vo kis ke haiñ jo haiñ hoshyār kis ke haiñ
uThā kar haath meñ tasbīh mujh se dil ye kahtā hai
barahman kis ke haiñ ham sāhib-e-zunnar kis ke haiñ
na kyuuñ bahr-e-shahādat sar jhukā.eñ shauq se āshiq
basān-e-teġh kahiye abrū-e-ḳhamdār kis ke haiñ
kahā ye tā.ir-e-dil ne ulajh kar zulf-e-pur-ḳham meñ
phañsāyā kis ne mujh ko aur ye kirdār kis ke haiñ
nahīñ ma.alūm zaḳhmī ho gayā hai kaun shaidā.ī
gul-e-tāza 'jamīla' zaḳhm-e-dāman-dār kis ke haiñ