kahāñ le jā.egī dekhūñ ye merī aarzū mujh ko
liye phirtī hai har jānib tumhārī justujū mujh ko
bar aatī aarzū muddat pe mujh bargashta-kismat kī
bulāte apnī mahfil meñ agar tum rū-ba-rū mujh ko
mohabbat aisī shai hai jis se baaz aa.e koī āshiq
pasand aatī nahīñ nāseh tumhārī guftugū mujh ko
taḌap kar jism-e-ḳhākī se nikal jaatī ye jaañ apnī
na samjhātī shab-e-furqat jo terī aarzū mujh ko
mohabbat meñ kisī gul ke jalā jaatā hai dil apnā
'jamīla' misl-e-shabnam ho ga.ī rone kī ḳhū mujh ko