Jameela Khuda Bakhsh

zahid ke dil mein but hai musalman nahin raha

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
zāhid ke dil meñ but hai musalmāñ nahīñ rahā
ye barahman hai sāhab-e-īmāñ nahīñ rahā
malte haiñ haath yaas se dast-e-junūñ mire
afsos koī tār-e-garebāñ nahīñ rahā
sad-shukr apne saath dil us ko bhī le gayā
jo chheḌtā thā ham ko vo armāñ nahīñ rahā
tasvīr-e-yār mujh ko tasavvur banā chukā
par shukr hai ḳhudā kā pareshāñ nahīñ rahā
pahuñchā diyā sabā ne use kū-e-yār meñ
apnā ġhubār be-sar-o-sāmāñ nahīñ rahā
lab-basta daf.atan jo huā zaḳhm-e-dil mirā
dilbar ke ḳhvān kā vo namak-dāñ nahīñ rahā
insāniyat hai jis meñ dilā hai vo aadmī
haivāniyat hai jis meñ vo insāñ nahīñ rahā
ifshā ye rāz-e-ishq huā merī aah se
jis ko chhupā rahe the vo pinhāñ nahīñ rahā
āshiq kī turbatoñ ko miTā kar ye kah diyā
lo ab nishān-e-gor-e-ġharībāñ nahīñ rahā
apnī sadā sunā ke har ik yaañ se chal basā
gulshan meñ koī murġh-e-ḳhush-ilhāñ nahīñ rahā
jo qaidī-e-mehan the 'jamīla' vo chal base
zindāñ meñ koī sāhab-e-zindāñ nahīñ rahā
Top Urdushayar.com