Jameela Khuda Bakhsh

tamasha ho jo dil mein aks-e-ru-e-yar ho paida

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
tamāshā ho jo dil meñ aks-e-rū-e-yār ho paidā
ki apnā ishq kā ik mahram-e-asrār ho paidā
ruḳh-o-gesū dikhā kar naaz se kahtā hai vo dilbar
koī kāfir ho paidā aur koī dīñ-dār ho paidā
tumhārī silk-dandāñ ke tasavvur ne rulāyā hai
na kyuuñ ashkoñ se mere gauhar-e-shahvār ho paidā
kahīñ muñh phertā hai jāñ-nisār-e-ishq marne se
fidā vo jaan kar le tujh pe gar sau baar ho paidā
agar girya-kunāñ sarshār-e-ulfat huuñ to ai saaqī
unhīñ ke āñsuoñ se bāda-e-gulnār ho paidā
mudāvā ġhair-mumkin hai tire bīmār-e-ulfat kā
jo ik āzār achchhā ho to ik āzār ho paidā
'jamīla' nāvak-e-mizhgān-e-dil-bar se jo ho zaḳhmī
na kyuuñ us kī lahad par nargis-e-bīmār ho paidā
Top Urdushayar.com