Jameela Khuda Bakhsh

sitam hai tere aashiq ke liye bimar ho jaana

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
sitam hai tere āshiq ke liye bīmār ho jaanā
baḌī aafat hai dal ke haath se nā-chār ho jaanā
badal jaanā nigāhoñ kā to dekhā par nahīñ dekhā
dil-e-āshiq se us kā tiir ban kar paar ho jaanā
nasīhat se vo baaz aatā nahīñ tum baaz aaoge
pahuñchnā sāmne nāseh ke jab sarshār ho jaanā
kiyā hai ashk-e-hasrat tū ne rusvā mujh ko mahfil meñ
kahā kis ne ki yuuñ mere gale kā haar ho jaanā
akele meñ tasavvur ḳhuub karnā us sitam-gar kā
lahad meñ ḳhvāb-e-ġhaflat se agar bedār ho jaanā
Dil-e-pur-ġham raqīb rū-siyah dekhe nahīñ tujh ko
galī meñ us kī jā kar sāya-e-dīvār ho jaanā
nahīñ furqat gavārā tā.ir-e-dil tum ko dilbar ke
pahuñchte hī asīr-e-gesū-e-ḳham-dār ho jaanā
ḳhudā hāfiz hai apnā dekhiye kaisī guzartī hai
baḌī mushkil hai rāh-e-ishq kā dushvār ho jaanā
qadam-bosī mayassar ho kisī sūrat se us but kī
'jamīla' ba.ad-e-murdan ḳhāk-e-kū-e-yār ho jaanā
Top Urdushayar.com