Jameela Khuda Bakhsh

kaisi hai aah apni tabiat bhari hui

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
kaisī hai aah apnī tabī.at bharī huī
āñkhoñ meñ ashk ashk meñ hasrat bharī huī
aTkheliyāñ na kar tū nasīm-e-sahar ki hai
rag rag meñ un guloñ kī nazākat bharī huī
kyuuñ be-sabab hujūm-e-tamannā-o-yās se
hai is dil-e-hazīñ kī imārat bharī huī
kis jā karegā mayyat-e-ushshāq dafn tū
yaañ hai shahīd-e-nāz kī turbat bharī huī
gar jaam tū pilā.e to piinā halāl hai
tujh meñ to sāqiyā hai malāhat bharī huī
kyuuñ kar gadā na tere ġhanī huuñ sanam ki hai
dast-e-karam meñ tere saḳhāvat bharī huī
ifshā-e-rāz-e-ishq na ho ḳhauf hai yahī
chhuptī nahīñ hai aañkh mohabbat bharī huī
tum dekh lo 'jamīla' ki dil ġham huā na ho
āñkhoñ meñ un ke kyuuñ hai nadāmat bharī huī
Top Urdushayar.com