Jameela Khuda Bakhsh

dil-e-viran bhi tha maskan kisi ka

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
dil-e-vīrāñ bhī thā maskan kisī kā
usī meñ nuur thā raushan kisī kā
gaḌhī hai aarzū zinda hai hasrat
kisī kā ghar hai dil madfan kisī kā
bapā hai shor-e-mahshar qatl-gah meñ
kisī kā haath hai dāman kisī kā
do-ālam ko tah-o-bālā na kar de
badalnā naaz hai chitvan kisī kā
gulistāñ meñ zarā jā kar to dekho
kisī kī ḳhandgī shevan kisī kā
bharosā charḳh par ai dil na karnā
huā kab dost ye pur-fan kisī kā
charāġh-e-ishq hai aañsū se raushan
kisī kā ḳhūn-e-dil roġhan kisī kā
tamannā shauq se nigarāñ hai is meñ
kisī kā zaḳhm-e-dil rauzan kisī kā
'jamīla' dasht meñ kahtī thī ro kar
ilāhī dil na ho dushman kisī kā
Top Urdushayar.com