Jameela Khuda Bakhsh

taqat-e-sabr tere be-sar-o-saman mein nahin

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
tāqat-e-sabr tire be-sar-o-sāmāñ meñ nahīñ
istaqāmat use is ālam-e-imkāñ meñ nahīñ
DhūñDhtā kyā hai use jā ke idhar aur udhar
kyā tire dil meñ nahīñ dīda-e-hairāñ meñ nahīñ
kyā kahūñ aah maiñ tashbīh nahīñ de saktā
koī gul zaḳhm-e-jigar sā to gulistāñ meñ nahīñ
thaam sakte hī nahīñ ḳhār-e-bayābāñ mujh ko
taar baaqī koī ab to mire dāmāñ meñ nahīñ
le gayā jazb-e-dil-e-zār sanam tak un ko
ek lāsha bhī yahāñ gor-e-ġharībāñ meñ nahīñ
dekh to chiir ke pahlū meñ dikhā detā huuñ
juz ġham-e-yār koī is dil-e-vīrāñ meñ nahīñ
nau-giraftār-e-mohabbat huuñ yahī baa.is hai
naġhma-zan mujh sā koī murġh gulistāñ meñ nahīñ
halqa-e-chashm meñ zanjīr ke in a.azā meñ
aisī kāhīdgī aa.ī ki jo mizhgāñ meñ nahīñ
dekh kar us lab-e-rañgīñ ko 'jamīla' ne kahā
jo damak is meñ hai vo la.al-e-badaḳhshāñ meñ nahīñ
Top Urdushayar.com