Jameela Khuda Bakhsh

ai jazb-e-dil wo din to mayassar KHuda kare

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
ai jazb-e-dil vo din to mayassar ḳhudā kare
mere liye vo haath uThā kar duā kare
maiñ jaan duuñ vafā se vo mujh par jafā kare
marnā to merā apne hī dar par ravā kare
pāmāl shauq se dil-e-āshiq kiyā kare
ye bhī tamāshā shoḳhī-e-rañg-e-hinā kare
husn-e-butāñ meñ shān-e-ilāhī hai kyā kahūñ
baiThe na but-kade meñ fidā.ī to kyā kare
is nāznīñ se kah de ki ban jaa.e nūr-e-jāñ
āñkhoñ meñ aa.e ka.aba-e-dil meñ rahā kare
hālat ko merī sun ke ajab naaz se sanam
kahtā hai mujh ko ġham nahīñ koī mirā kare
dekhe mire sanam ko to rohbān-e-ishq bhī
salle-alā kahe kabhī shukr-e-ḳhudā kare
kah denā un ke tālib-e-dīdār se yahī
mir.at ke dil meñ sūrat-e-hairat rahā kare
is aarzū ne mujh ko bulāyā hai ḳhaak meñ
tā musht-e-ḳhāk ko mire vo naqsh-e-pā kare
pūchhā thā maiñ ne qais se jā kar ye dasht meñ
jis meñ na ho.e sabr-o-tahammul vo kyā kare
bolā vo hañs ke jī se guzarnā hī ḳhuub hai
is ibtidā-e-ishq kī yuuñ intihā kare
fasl-e-bahār aa.ī hai mujh ko na rokiye
jaatā huuñ ab to dasht meñ kuchh bhī huā kare
tasvīr-e-yār dil meñ 'jamīla' liye raho
ka.abe meñ jā ke āshiq-e-nāshād kyā kare
Top Urdushayar.com