meñ āshiq huuñ mujhe maqtal meñ apnā naam karnā hai
Daregā ḳhanjar-e-qātil se kyā vo jis ko marnā hai
madad kar ishq-e-sādiq jazb-e-kāmil mujh se mahzūñ kī
shab-e-ġham naala karnā hai aur is jī se guzarnā hai
na pheñko sañg-e-ḳhārā par hifāzat chāhiye is kī
ki rakh kar mir.at-e-dil rū-ba-rū tum ko sañvarnā hai
ye jām-e-dīda-e-hasrat bharūñgā ashk-e-ḳhūnī se
mai-e-gulgūñ tujhe pīr-e-muġhāñ sāġhar meñ bharnā hai
Thahar jā bulbul-e-ġhamgīñ kahāñ tak zārī-o-shevan
ki murġh-e-bostān-e-ishq ko bhī naala karnā hai
sarishk-e-chashm-e-pur-nam kī ravānī se pareshāñ huuñ
junūñ kyā dīda-e-hasrat hamārā koī jharnā hai
'jamīla' saf.ha-e-mahtāb par lahrā ga.e kaale
sitam in gesuoñ kā dosh par un ke bikharnā hai