Jameela Khuda Bakhsh

hui sar-gashta KHak apni ghubar-e-karwan ho kar

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
huī sar-gashta ḳhaak apnī ġhubār-e-kārvāñ ho kar
mujhe qismat satātī hai raqīb-e-kāmrāñ ho kar
dil-e-pazh-murda āshiq ko tum apne sāmne rakhnā
tamāshā raqs-e-bismil kā dikhā.egā tapāñ ho kar
hamāre is dil-e-vīrāñ-shuda meñ ai but-e-rā.anā
tumhārī aarzū ghabrā rahī hai mehmāñ ho kar
uḌāyā tezī-e-bād-e-sabā ne gar to ġham kyā hai
ġhubār apnā bulandī par rahegā āsmāñ ho kar
mire dil kī imārat go shikasta haal hai lekin
makān-e-ḳhās ho jā.egā us kā lā-makāñ ho kar
anīs-o-monis-o-hamdam umīdeñ ho nahīñ saktīñ
kahāñ jaatā hai ai dil yūsuf-e-be-kārvāñ ho kar
kareñ kyā guftugū āñkheñ milā kar un raqīboñ se
tumhārī bazm meñ but ban ga.e haiñ be-zabāñ ho kar
hamāre dīda-e-hairat-zad meñ ḳhvāb kyā aa.e
ki terī aarzū baiThī hai is meñ pāsbāñ ho kar
lagānā vaar halkā qatl-gah meñ mujh pe ai qātil
ki lutf raqs-e-bismil maiñ dikhā.ūñ nīm-jāñ ho kar
mirī kāhīdgī aur nā-tavānī pūchhte kyā ho
ġham-e-hijrāñ dabātā hai mujhe bār-e-garāñ ho kar
ḳhudā ke fazl se is bostān-e-na.at-e-mid.hat meñ
'jamīla' naġhma-zan hai bulbul-e-ḳhush-dāstāñ ho kar
Top Urdushayar.com