Jameela Khuda Bakhsh

yar kahta hai tajalli-e-laqa thi main na tha

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
yaar kahtā hai tajallī-e-laqā thī maiñ na thā
tūr-e-sīnā par vahī jalva-numā thī maiñ na thā
gumbad-e-aflāk par jis kā huā akasr guzar
vo dil-e-bīmār-e-ġham kī ik duā thī maiñ na thā
har taraf thī ālam-e-imkāñ meñ jo phailī huī
mere asrār-e-haqīqat kī ziyā thī maiñ na thā
misl-e-bū-e-gul tire kūche meñ thā jis kā guzar
ai sanam vo merī jān-e-mubtalā thī maiñ na thā
bostāñ meñ tālib-e-dīdār thī jo aap kī
vo gul-e-nargis kī chashm-e-bā-ziyā thī maiñ na thā
ba.ad-e-murdan qabr meñ mujh ko sulā kar ye kahā
dard thā betābiyāñ thiiñ aur qazā thī maiñ na thā
ik jhalak dikhlā ke apnī kis adā se kah gayā
jis ko dekhā vo bhī shān-e-kibriyā thī maiñ na thā
jis ne chūmā vaqt-e-pāmālī qudūm-e-nāz ko
ḳhūn-e-dil bā-shoḳhī-e-rañg-e-hinā thī maiñ na thā
darguzar kar aa.ine se aap ne moḌā hai muñh
is meñ merī hasrat-e-hairat-fazā thī maiñ na thā
zārī-o-shevan hamārī kab sunī haiñ aap ne
bostāñ meñ bulbul-e-naġhma-sarā thī maiñ na thā
uḌ ke jo pahuñchī sabā ke saath galiyoñ meñ tirī
musht-e-ḳhāk-e-kushta-e-teġh-e-adā thī maiñ na thā
dekh kar un ko jo maiñ fart-e-masarrat se marā
vo lage kahne ki ye us kī qazā thī maiñ na thā
thā maiñ tasvīr-e-ḳhyālī hasti-e-mauhūm meñ
vo bhī shān-e-ishq-e-shāh-e-do-srā thī maiñ na thā
ai 'jamīla' bostān-e-ishq meñ vaqt-e-sahar
nik.hat-e-gul sī jo pahuñchī vo sabā thī maiñ na thā
Top Urdushayar.com