Jameela Khuda Bakhsh

samajh ke zulm karo ai buto KHuda bhi hai

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
samajh ke zulm karo ai buto ḳhudā bhī hai
tumhāre jaur-o-jafā kī kuchh intihā bhī hai
agar maiñ jā.ūñgā pūchhūñgā ye masīhā se
ki mere dard-e-jigar kī koī davā bhī hai
kabhī rahā mire lab tak kabhī vahāñ pahuñchā
ye naala merā rasā aur nā-rasā bhī hai
fasāna qais kā logoñ se sun liyā hogā
ye merā qissa-e-ġham aap ne sunā bhī hai
musāfirān-e-adam aa.e do-ghaḌī ke liye
sarā-e-dahr meñ aa kar koī rahā bhī hai
tamāshā dekhiye vo ba.ad-e-qatl bhuul gayā
ki mere dar pe koī kushta-e-adā bhī hai
jafā-o-jaur se un ke to ho gayā aajiz
butoñ ke ishq kā is dil meñ hauslā bhī hai
samajh ke ḳhār-e-muġhīlāñ to sar uThā apnā
ki rahravoñ meñ ik āshiq barhana-pā bhī hai
safīna bahr-e-musībat se paar kar degā
ḳhudā samajhte ho jis ko vo nāḳhudā bhī hai
uThāo shauq se manzil meñ tum qadam apne
ki rāhzan jo hai is meñ vo rahnumā bhī hai
nazar se shaiḳh kī chhup kar chalā huuñ piine ko
'jamīla' abr hai bārish hai aur havā bhī hai
Top Urdushayar.com