dard-e-dil vo hai ki rāhat se sarokār nahīñ
tāqat-e-sabr nahīñ quvvat-e-guftār nahīñ
teġh-e-abrū ko sambhālo maiñ jhukā.ūñ gardan
jaan dene se to jāñ-bāz ko inkār nahīñ
duuñ maiñ kis chiiz se tashbīh tahayyur hai mujhe
sūrat-e-gul to mirā zaḳhm-e-dil-e-zār nahīñ
kaisī mushkil meñ phañsāyā hai mohabbat ne mujhe
baiThnā jabr hai aur tāqat-e-raftār nahīñ
kis liye maiñ dil-e-sad-chāk rakhūñ pahlū meñ
gesū-e-yār ko shāne se sarokār nahīñ
dil vo kis kā hai nahīñ jo tire qadmoñ pe nisār
kaun hai vo jo tirā tālib-e-dīdār nahīñ
dahr-e-fānī meñ pareshān hai saarī ḳhilqat
aisā koī hai jo majmū-e-afkar nahīñ
nāḳhun-e-dasht-e-junūñn dekhiye kyā kartā hai
dāman-o-jeb-o-garebāñ meñ koī taar nahīñ
gar vahāñ jaao 'jamīla' to ye kahnā us se
go maiñ kāhīda huuñ par ishq tirā baar nahīñ