Jameela Khuda Bakhsh

go shama hun pa mahfil-e-jaanan se dur hun

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
go sham.a huuñ pa mahfil-e-jānāñ se duur huuñ
maiñ andalīb huuñ pa gulistāñ se duur huuñ
barg-e-ḳhizāñ-rasīda banāyā hai ishq ne
maiñ mausam-e-bahār meñ bustāñ se duur huuñ
ai yaar justujū meñ tirī sūrat-e-ġhubār
sar-gashta huuñ pa gardish-e-daurāñ se duur huuñ
parvāna-vār go ki jalāyā hai ishq ne
lekin charāġh-e-gor-e-ġharībāñ se duur huuñ
ghultā hai dil ki rah-rav-e-ulfat ke vāste
maiñ ḳhizr huuñ pa chashma-e-haivāñ se duur huuñ
kahtā hai ye pukār ke ḳhūn-e-shahīd-e-nāz
qātil maiñ tere gosha-e-dāmāñ se duur huuñ
banda huuñ ishq kā mirā maz.hab na pūchhiye
āzād ho ke gabrū musalmāñ se duur huuñ
mauj-e-nashīm-e-sub.h satātī hai kyā mujhe
maiñ bū-e-gul kī tarah gulistāñ se duur huuñ
kahtā hai us kī zulf meñ phañs kar ye murġh-e-dil
qaidī to huuñ 'jamīla' pa zindāñ se duur huuñ
Top Urdushayar.com