is dil kī imārat meñ tum jalva dikhā jaanā
yā nūr-e-mubīñ ban kar āñkhoñ meñ samā jaanā
apnā to shikasta-dil ik ḳhāna-e-vīrāñ hai
qadmoñ se ise apne ābād banā jaanā
ushshāq ke marqad par hasrat yahī kahtī hai
tum fitna-e-mahshar ho sotoñ ko jagā jaanā
un ḳhāk-nashīnoñ se milnā tumheñ lāzim hai
ushshāq ke kūche meñ bhūle se tū aa jaanā
muddat se piyāsā maiñ baiThā huuñ tire dar par
ik jaam mohabbat kā ḳhud aa ke pilā jaanā
is gardish-e-qismat ne sar-gashta kiyā yaañ bhī
ai ḳhizr-e-rah-e-ulfat tum raah batā jaanā
aa.e na sar-e-bālīñ gar mere dam-e-murdan
ab bahr-e-duā dilbar marqad pe to aa jaanā
kyā kyā na jafā mujh pe hotī hai shab-e-furqat
ulfat ne tirī mujh ko pāband-e-vafā jaanā
ye ishq 'jamīla' kā ai ḳhizr-e-rah-e-ulfat
mahbūb ke jalve ko asrār-e-ḳhudā jaanā